Hai yeh Paawan Bhumi jain stavan



Hai yeh Paawan Bhumi



Hai Yeh paavan bhumi, Yahan bar bar ana,
Shantinath ke charno me, aakar ke jhuk jana || 1 || Hai...

Tere mastak Mukut hai, tere kaano me kundal hai,
Tu to karuna saagar hai, mujh par karuna karna || 2 || Hai...

Tera tirth sundar hai, tu to pran se pyara hai
Meri vinti sun lena, bada par laga dena || 3 || Hai...

Tu jeevan swami hai, tu antaryami hai
Meri naiyya dub rahi, Naiyya paar laga dena ||4 || Hai...

Teri pyari surat hai, mere mann ko lubhati hai,
prabhu meri bhakti ka, Sweekar tu kar lena ||5 || Hai...